Tuesday, September 8, 2009

pass akar sabhi----anjaan

pass akar sabhi door chale jate hjai,

hum akele the akele hi reh jate hai,

dil ka dard kise dikhayein yaaro,

maraham lagane wale ki zakham de jaate hain,

zakham aisa diya---anjaan

Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam naa aayi,
Aag aisi lagayi ki kabhi bujh naa paayi,
Aaj bhi rote hai unki yaad me,
Jinhe humari yaad kabhi naa aayi

Saturday, September 5, 2009

muskil hota hai jabab dena....

koi ankhon se baat kar leta hai, koi ankhon main mulakat kar leta hai,

muskil hota hai javab dena, jab koi khamosh rehkar saval kar leta hai.

tumhari duniya ka---anjaan

tumhaari duniya ka chota sa naam hun mai jo phachaan sako agar to aasaan hun maimaine sahara-e-dard aasiyan banaya haihar khushi ke liye jaise ek armaan hun maitum jo sochoge to yaad aaunga main akl-e-tasavoor mai ek dayaar hun maitishnagi ka sabab bhala dariya kya jaanemujhse pucho ek samandar hun mai

na jane kab is dil ki hasrat puri hogi.....anjaan

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?
Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi
Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi
Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi
Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?
Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

ek dost aisa rakhna.....vikas

khushi itni ho dost ki duniya ko dikha sako jajbaat se,

gam bas itna hi rakhna ki chupa sako kafan ki chadar se,

khuch na rakhna besak per ek aisa dost rakhna rakhna,

jo khada ho ladne sang aapke is zamane-e-zalim se,

tere saath na raha to kya raha main----vikas

teri har dua main na raha to kya raha main,

teri har ummid main na jiya to kya jiya main,

dagar ban jaye chahe teri kaanton se bhi muskil,

agar us per bhi na soya to kya so saka main.

chere pe aaj nakab kyon hai......vikas

chere pe aaj tere ye nakab kyon hai,

dikhkar bhi aaj najrandaaj kyon hai,

tere saath chal diya har dukh main .

phir aaj mere gam se tu najrandaaj kyon hai.

socha jab tumhare bare main

Socha jab bhi tumhare baare mein,

Aksar yaad aati hain tumhari aankhein..

Wo gehre harre Samundar jaisi,

koi raaz chupaye tumhari aankhein..

palat kar aaNkh nam karna humain hargiz nahi aata
gaye lamhoN ka ghum karna humain hargiz nahi aata
muhabbat ho to be-had ho jo ho nafrat to bepaya
koi bhi kaam kam karna humain hargiz nahi aata
Uske aankhon mein ashq honge
Uske hothon mein gulab honge
Iss tarah tadapti hogi
wohUske dil mein sou afsaane jaage honge

uski ankhoon main

Uski ankhoon main koi dukh basa hai shayad
Ya mujhe khud hi koi weham sa howa hai shayad
maine pocha keh bhool gaye ho tum bhi
Ponch kar mere ansoo kaha us nay haan shayad.

shukriya kaise ada karein----anjaan

Phir chupke se yaad aa gaya koi,
Meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,
Kaise uska shukria aada karen,
Mujh naachiz ko shayar bana gaya koi.

mujhe jawab chahiye------anjaan

Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahyeTumarey Dil mai thori si jaga chahye
Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na raheyTeri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye
Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hainWapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye
Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe

Monday, August 31, 2009

mujh tak aane main sharam kya?

mujh tak aane main sharam na kar,
mujhe samjhne ki kosis samay nikal ke kar,
khushiyan apni baatne ki fikr tu ab na kar,
dukh mujhse baatne main tu sharam na kar,

Sunday, August 30, 2009

aaj dost ke liye khuch likha maine bhi khuch sakib.......

dost ke liye likh raha hun... aap bura na maniyega
aaj apne har raaj ko rajeev se jod diya,
barose ki manzil to kahan kya hoti hogi
dariye main bhi gehrayi itni kaha rahi hogi
aaj jamane ki har uchayi ko dosti se jod diya,

maaf karna yaaro....

maafi chata hun dard-e-dil agar kisi ke ashq bahe ho to...........
jara gaur farmaiyega..........................
aaj bayan meri tanhai meri mohabbat se,
aaj hai kafir khuch naraj vo is jamane se,
meri garaj thi to main lad gaya jamane se,
kabhi thi jaan pehchann bol diye usne darke jamane se.

na gam tha tere bahane ka....

na gam tha tere bahane ka,
na gam tha tere jane ka,
na gam tha teri mohabbat ka,
na gam tere mukar jane ka,
gam hai dard na jane ka,
gam hai tere na aane ka,
gam mere jajbaton ko na samjhne ka,
gam mera ab yahan kabhi na aane ka,

ishq ki tang galiyon main badnaam ho gaye...........

ishq ki tang galiyon main badnaam ham ho gaye.
khuch na karke bhi jamane ke dusman ham ho gaye.
maalum tha hamko vo mukar jayenge ek din ,
janke ye sab kafir ham do gaz zamin dudne chal diye.

kya kahu kya na kahu--samee ahmad

kya kahu kya na kahu,
game dil madhosh hai,
ankh se ansu gir rahe hai,
ab jubah khamosh hai..............

kahan koi aisa mila-----samee/vikas

kahan koi aisa mila, jis pe duniya luta deta,
sab ne dhok diya kis kis ko bhula deta,
dil ka dard dil main hi samye hue baitha hu,
agar karta bayan to mehfil ko rula deta.

teri har subah------by samee/vikas

teri har subah muskurati rahe,
teri har shaam gungunati rahe,
tu jise bhi mile is tarh se mile ki,
use har pal teri yad satati rahe.

wo samjhe ya na samjhe-----by samee ahmad

wo samjhe ya na samjhe mere jazbat ko,
mujhe to maana padega unki har bat ko,
hum to chale jayenge is duniya se,
magar ansu bahayenge wo meri yad main.

jindgi kabhi itna dard---by samee ahmad

zindgi kabhi itna dard deti hai,
dil me fir bhi ummid rehti hai,
dil kehta hai khuch nahi hone wala,
per khuch to hoga ye ummid kehti hai.

kya paya kya khoya soch na paya

kya paya kya khoya khuch soch na paya,
pa kar bhi jo mil na paya soch na paya,
samjh ke bhi vo mujhe samjh na paya,
chal diya main yahan se ruk kar bhi ruk na paya,

aate hai is garaj se...................

aapke ehsas ne jine ka tarika sikha diya,
pyar ke us ehsas ne sochna bhula diya,
aate hai ham is garaj se ki milenge ek din,
milne ke intjaar ne rona aaj sikha diya,

dekh kar bhi

dekh kar bhi anjana sa kyon hai,

milke bhi na mila sa kyon hai,

aaj nahi pata musam kharb kyon hai,

mere dard pe ye shar gumnaam kyon hai.

aaj jamane wale ham se kehte hai

yaaro aaj jamane wale ham se kehte hai,ki mohabbat badi buri chiz hai,
din ko gumnaam raat ko shamshan karde aisi rab ne ye chiz banayi hai,
ham pyar se bole ki aap ne suna per hamne iske aage apni raat bitayi hai,
khushiyon ki gehrayi ka to pata nahi par dard main bahut gehrayi payi hai,

rab ne diye naam saare riston ko.....

rab ne diye naam saare riston ko,
bhul gaya vo ek naam dena dosti ko,
isliye sadiq jab chod de jamana tera saath,

tab dost aata hai thamne usko,

aaj pi hai ye soch ke

aaj pi hai ye soch kar ki so jayenge sukun se raat ko,
lekin jhoot bol raha hun khud se aaj bekhud is raat ko,
hakikat ye hai ki tanhayi se aksar darta hun raat ko,
aaj chale gaye vo daman chodkar phir akela hun main raat ko.

jindgi ka har lamha

jindgi ka har lamha ab mera ho gaya,
duniya ka har gam ab mera ho gaya,
kal tak jo hua karta tha unka (dard)
aaj kafir vo mera naseeb ho gaya,

pyaar ki rahoon main

pyar ki rahon main jannat ki kaha khwahish mujhse sadiq,
mile maut aaj ya phir kabhi kya farak padega mujhe sadiq,
aaj khuch tabiyat thik hai to likh rahe hai unke liye sadiq,
kya pata kal unke liye likhne ko ham rahain ya na rahain sadiq,

Saturday, August 29, 2009

dosti to bharose ki parchayi hai

dosti to bharose ki parchayi hoti hai,
mile badle main khuchk hawish nahi hoti hai,
ham to karte rahenge bharosa ta umar aap per,
aap bhi kar sako aisi ummid aap se lagayi hai.

janmdin mubarak

aaj khushi ka din hai yaaro,
kyonki janamdin aaj unaka hai yaaro,
mile khushi unko har lamha yaro,
Gam chahe khuch hamare le lo yaaro,

jaane lage vo chod kar

jaane lage vo chod kar daaman mera,

tute hue dil ne himakat kar di,

socha thaki chupa lenge har gam apna,

par kambakht ankho ne ro kar bagawat kar di,

tu lakh hifazat karle

tu lakh hifajat karle,
tu lakh kare rakhwali,
ek din udjayega panchi,
rahega pinzra khali,
tu lakh duain karle,
tu lakh kare manmani,
aa jayegi ek din mut,
rahega daman khali,

kya karain vo dua

kya karain vo dua, jo dua na lage,

kya kahein vo baat , jo samjh na sakein,

kiya piyein vo jahar,jo jala na sake,

kya jiyein vo jindgi,jo jise jiya na sake,

dosti ka kasoor

maine apna farz nibhaya ,ye mera kasoor tha,
vo mujhko na samjh paya, ye kismat ka ksoor tha,
meykhane main betkar bhi jo na chade,shayd us sharab ka kasoor tha,
vo hamko dokha dete chale gaye,ham har julm ko sehte chale gaye,
jab vo julm karke thak gaye, to hamne kaha dard ka ehsaas bhi alag tha.

hui aaj husn ki aisi barish

hui aaj husn ki aisi baarish, jajbaton ki kahani thi,
ki dost ke libas ka rang mere khoon se mil gaya,
vo anjana the isse ya bankar reh gaye khuch soch kar,
per unka ye nayab afsana katl hamara kar gaya.

hai fakr teri dosti per

hai fakr teri dosti per ki aaj bhi bajayaankhon ke mera dil gila hai, jab dukhaye koi tera dil to,aana meri kabr pe to paoge ki mera kafan ab bhi gila hai.

khawabon mein tere

khawabon mein tere gar meri khawahish nahi hogi,ho mujh se teri aankhon ki parchayi nahi hogi,ho fikr jisse khud woh mere haal haal parakh le,mujh se to toh mere gum ki numaish nahi hogi,maan ke na maane mujhe "vikas" ye zamana,ye thi hai k mujh se koi saazish nahi hogi.

log ishq ko

log ishq ko khuda kehte hain,par koi ishq kare to use gunah kyon kehte hai,kaha jata haiki patthar dil roya nahi karte,to fir parwat se hi jharne q baha karte hai.

Friday, August 28, 2009

kya khoob hui barish

kya khoob hui aaj barish , dard mera bhi bhig gay,
unko samjhne ki khwaish thi,per khud ko hi bhul gaya.