Tuesday, September 8, 2009

pass akar sabhi----anjaan

pass akar sabhi door chale jate hjai,

hum akele the akele hi reh jate hai,

dil ka dard kise dikhayein yaaro,

maraham lagane wale ki zakham de jaate hain,

zakham aisa diya---anjaan

Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam naa aayi,
Aag aisi lagayi ki kabhi bujh naa paayi,
Aaj bhi rote hai unki yaad me,
Jinhe humari yaad kabhi naa aayi

Saturday, September 5, 2009

muskil hota hai jabab dena....

koi ankhon se baat kar leta hai, koi ankhon main mulakat kar leta hai,

muskil hota hai javab dena, jab koi khamosh rehkar saval kar leta hai.

tumhari duniya ka---anjaan

tumhaari duniya ka chota sa naam hun mai jo phachaan sako agar to aasaan hun maimaine sahara-e-dard aasiyan banaya haihar khushi ke liye jaise ek armaan hun maitum jo sochoge to yaad aaunga main akl-e-tasavoor mai ek dayaar hun maitishnagi ka sabab bhala dariya kya jaanemujhse pucho ek samandar hun mai

na jane kab is dil ki hasrat puri hogi.....anjaan

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?
Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi
Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi
Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi
Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?
Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

ek dost aisa rakhna.....vikas

khushi itni ho dost ki duniya ko dikha sako jajbaat se,

gam bas itna hi rakhna ki chupa sako kafan ki chadar se,

khuch na rakhna besak per ek aisa dost rakhna rakhna,

jo khada ho ladne sang aapke is zamane-e-zalim se,

tere saath na raha to kya raha main----vikas

teri har dua main na raha to kya raha main,

teri har ummid main na jiya to kya jiya main,

dagar ban jaye chahe teri kaanton se bhi muskil,

agar us per bhi na soya to kya so saka main.